Jan 2005
Justuju hai sirf tumhari garm saanson ki in honthon ko.
Kaan main sirf tumhare kasmasane ki hi awaaz ho
Chahe saraab ka hi nazara mile in aankhon ko,
Par jab palakein band ho toh tumhara hi chehra ho Zehen main,
Tumhari hi khushboo ho rooh main,
Tumhari hansi goonje mere khayalon main..
Main is kadar kasmasaoon jaise ki
Hawa ke sehlane se darakht ki pattiyan kasmasati hai
In hothon ko jooth ka sahara de do
In aankhon ko saraab ka nazara de do
Bund palkon se tumhe chhoone ka bahana de do
Tumhari khushboo main ghul jaoo
Bus itna sa mujhe tum kinara de do

No comments:
Post a Comment